Saturday, March 12, 2011

Story of Journey from HARDOI to LUCKNOW as CARTOONIST.

 LINKs to know MORE about Raj Maurya
http://rajesh-maurya-14-343indiranagar.blogspot.com/
http://rajesh-kumar-maurya-9454322927.blogspot.com/
http://rajeshmaurya-talent-from-india.blogspot.com/
http://rajeshmaurya-artist-from-india.blogspot.com/
http://journey-of-art-raj-maurya.blogspot.com/
http://indiranagar-rajmaurya-gomtinagar.blogspot.com/
http://raj-maurya-sec-14-indiranagar.blogspot.com/
http://rajesh-kumar-maurya-indiranagar-lko.blogspot.com/




Mera Naam Rajesh Kumar Maurya begin_of_the_skype_highlighting     end_of_the_skype_highlighting hai. Main Lucknow (UP,India) ka rahne wala hoon. Mera bachpan Lucknow ke Indira Nagar (C-block, Sec14) aur Gomti Nagar (Vinay Khand 3-4) ki COLONIES me beeta, par mera janm (1975) Hardoi Jile ke "Chapartalla" Gawn me hua tha. Meri maa ek samanya grahadi thi aur mere (14/343 lko)  Jo FINE ART me nipur the,Tahsheel Sandeela me Lekhpal (1965) the. Jab main lagbhag 1 saal ka tha to bimari ki karanwash meri maa ka dehant ho gaya. Achanak hui is durghatna ne Papa ko bahut pareshan kar diya, aur wo hum dono bhai aur bahen ko lekar Lucknow aa gaye. Lucknow me Papa  ne ek Nirman Aalekhak ke roop me apna Kaam shuru kiya.
 Papa ke baahar hone par hum dono Bhaiyon ko hamari badi bahen (Guddi) hi sambhaalti thi. Durbhagyawas hansne khelne ki umra me bahen ko ek maa ki jimmedari nibhani parti thi. Din beetate gaye aur Didi ki shadi ho gai, wo apne Sasural chali gayi. Hum teeno Bhai-Bahen me lagbhag 4-4 saal ka antar hoga. Sabse badi Didi Guddi Uske baad Bada Bhai Manoj jo bahut hi sheeghratapi aur mahatwakanshi tha aur ant me main Rajesh Sabse chhota.
 Papa hum teeno ko kabhi bhi nahin daante the, marna to bahut door ki baat thi. Vaise kabhi2 hum dono me jhagda hota to Deedi ko hi aisi sthiti sambhalni parti thi. Lekin Deedi bhi apne ghar chali gai thi, aise me bada bhai mujhe bahut pareshan karne lagaa, maarta tha aur meri cheezein tod deta tha, meri drawing ka saaman wo tod deta tha. Deedi ke baad Ab wo hi ghar ka Mukhiya ban baitha tha. Papa se SALARY bhi wo hi leta tha aur bahut fizoolkharchi karne lagaa tha. Hum dono ke beech Samanjasya banane me Papa apne aap ko asmarth paate the. Bade bhai ke kharaab rawaiye ne Papa ko bahut tod diya tha. Sthiti ko sambhalne ke liye Papa ne bade bhai ko bahut samjhaya par sab bekaar saabit hua. Bade bhai ne apni shadi ke liye Papa par zor dena shuru kar diya tha.
  Papa ne kuchh saal rukne ko kaha to BHai ne unhe "Atmhatya" ki dhamki de di. Majboor hokar Papa Ji  ne bete ki khushi ke liye gawn ki zameen jo hum dono bhaiyon ke naam thi, usme se Manoj ke naam wali zameen bach kar uski shadi karne ka faisla kiya. Lekin bada bhai to jaise Papa Ji  ko dukh dene ke liye hi aaya tha duniya mein.Usne kaha ki meri shadi ke liye Rajesh ki bhi baraabar ki zameen apko bechani padegi. Is nazaayaz maang ke liye hamare jeeja ji ne bhi aapatti dikhayi to bade bhai ne Unhein bhi bhala-bhura suna daala. Antatah Papa Ji  ko majboor hokar uski baat manani padi.
 Lucknow me Papa Ji  ne Papa Ji ne EMI par ek ghar aawantit karwaya tha. Jiski kistein chal rahi thi. Shadi hone ke baad bhai ne apna rang dikhana shuru kar diya. Wo mujhe aur Papa Ji  ko apne dahej me aayi kisi bhi cheez ko chhoone tak nahin deta tha, yahan tak ki hum dono (Baap-Bete) ka khana bhi Bhai-Bhabhi ke khane se NIMN hota. Bhai ki Roj-Roj ke naajayaz taano se dukhi hokar Papa Jin ne Khud ka makaan hote huye bhi Bagal ke hi makaan (14/344)me Mujhko lekar rahne ko Vivass ho gaye. Kuchh saal baad isi ghar bhabhi ne ek bachche ko janm diya Jo ab lagbhag 17 saal ka (1ladki bhi 15Yrs.) hai. Ek to pahle se tangi aur ab pariwar ke barr jane Bhai-bhabhi ne hum dono ki zarooraton ko band karna shuru kar diya jaise meri (Rajesh)padhai rok di gai. Jaise taise 3-4 saal gujre to Papa Ji  ko majboor hokar kahna pada ki -"ab to Shadishuda ho ab to kuch kaam-dhaam karo. Par bhai to dhushman se bhi badtar bartaav karta tha.
  Antatah 4 saal baad bade bhai ne ghar ke saare rupye paise aur zaroorat ka sara samaan Churaana shuru kar diya. Aur jab usne lagbhag ghar ka sara samaan jaise... rashan, bartan, Papa Ji  ke rupye sabkuch lekar Papa Ji  se Jhagra karke Apne sasur (R P Maurya-Kamta) ke sath jaakar rahne lagaa. Uski is harqat ne to jaise Papa Ji  ko maar hi daala tha. Sare logon ke saamne unke hi bade bete na baakayda ek baithak aayojit karke, sirf apne swarth ke liye Papa Ji  ko wo sab kuchh kah daala Jiski kalpana koi bhi Pita nahin kar sakta. Manoj ke alag hone ke 3-4 mahine baad hi COURT se Papa Ji ke makaan ke liye KURKEE ke aadesh ka ek chitthi aayi. Jiske milne par pataa chala ke pichhle 3-4 saalon se parishad me makaan ki kistein bhi jamaa nahin ki gai thi. Manoj ki is harkat ne Papa Ji  ko bahut bada sadma pahuchaya jisse wo beemar se ho gaye.
 Ab SIRF hum dono hi rah gaye the is ghar me. Aishe me ek ke baad ek ghatit ghatnawo ne mujhe bhi bahut chidchida banaa diya tha, jisse mujhe bhi Papa Ji  ki khyaal rakhne me dikkat ho rahi thi. Kuchh dino baad Papa Ji  ke sath unke karyasthal par hi durghatna ho gai jisse Papa Ji  ke sar me GAHRI CHOT lag gai. Ye baat main Manoj ko bhi bataai Lekin usne unhein dekhne jaana bhi jaroori nain samkha ,Usne hamse kaha ki -"tumhari bhabhi chinta karegi ishliye main Hospital Papa Ji  ko dekhane nahin ja saktaa. Kuchh maheene baad jab Papa Ji  ki haalat theek hui to Sabhi Ristedaaro (CP Maurya-Lekhram Maurya-Awadesh Maurya) ke kahne par Papa Ji  ne is makaan (14/343 Indira Nagar Lko.) ko Vasheeyat me Mere naam kar diya. Unhonne kaha ki ab kaam karte nahin banta hai mai apne bhai ke paas ghoomne jana chahta hoon. Meri sahmati hone par wo Chacha ke ghar (Mathura Pd.-Gausganj) chale gaye. Wahan par unke sath jane kya ho gaya ki wo apni antim saanson ke sath ki VICHCHHIPT awastha me Lucknow (Deedi ke ghar) laaye gaye. Jahan par kuchh hi palon me unhonne apna shareer tyag diya. Manoj ke Dushmao jaise bartaav ne Papa ko Itnaa Zyada aahat kar diya ki unhein Vaseeyat me Bade Bete ke haantho Chitaagni tak na swikaar karne ki ichchha vyakt karni padi. Papa Jaise Achchhe Insaan ka itna dukhit ANT dekhkar mujhe to pataa chal gaya ki Duniya me Bhagwan Jaise koi bhi Cheez Nahin hai.
 Kurkee ke aadesh se nipatne me Jeeja Ji (Chandrika Pd. Maurya)ne meri madad ki , unhonne apne papers lagwaa ke 70,000/- rupye ka karz liya. Jise maine dheere2 adaa karke makaan ki ragistry apne naam karwayi. Papa Ji ki yojna me jo ghar 56,000/- ka tha wo Papa Ji  ki NISHANI ke roop me bachaate2 mujhe 1,40,000/- ka par gaya lekin phir bhi Papa Ji  ki nishani to hamare liye anmol hi rahegi.2008 me Deedi-jeejaji ke sahaare ki wajah se meri bhi shadi ho gai. Lekin bhagwan ne itna kuchh ho jaane ke baad ,ab bhi hame pareshaan karna nahin chhoda hai, meri badkismati se mujhme aur meri wife me1 bhi cheez ki samaanta nahin hai. Main Poorab (Hardoi) hoon to Wo Pashchim (Faizabad). Aur ab main apne Papa Ji  se viraasat ke roop me mile hunar ke sahare hi apni jeevika ke liye sangharshrat hoon. Ishi ishwareey vardaan ke sahaare maine RAJ FINE ART ke naam se apna nijee PAINTING ka kaam shuru kiya Jo hame kuchh to sahaara de hi raha hai, ishke saath hi maine 2006 se Gomti Nagar ke Vishwas Khand me sthit Networld  Company me ek WEB DESIGNER ke roop me kaam karna shuru kiya, jisme Web Services aur Promotion ka kaam kiya jata hai. Aur aaj 2011 tak main ishi Company me karyaratt hoon. Dekhte hain aage Jindagi aur kya dikhati hai…..

http://rajesh-kumar-maurya.blogspot.com/

http://rajmaurya-from-indiranagar-lucknow.blogspot.com/
http://rajmaurya-vevekkhand4-gn-lko.blogspot.com/
http://rajmaurya-canvaspaintings.blogspot.com/
http://rajmaurya-passionandhobby.blogspot.com/
http://landscapesby-rajmaurya.blogspot.com/
http://rajmaurya-celebrities-animated-drawn.blogspot.com/
http://rajmaurya-cool-animations.blogspot.com/
http://rajmauryalandscapegallery.blogspot.com/
http://rajmaurya-monochromic-collection.blogspot.com/
http://alldrawnby-rajmaurya8081939049.blogspot.com/
http://my-recent-activities2010-rajmaurya.blogspot.com/